.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Faasle Aise Bhi Honge - Adeem Hashmi
Born in Firozpur, India, on 1st August 1946, Adeem Hashmi’s actual name was Faizuddin. He was brought up in Faizabad and moved to Lahore in 1970, where his poems were regularly published in literary journals. Meanwhile, he also wrote songs for radio and TV. Later, he moved to Rawalpindi. In 2001, he relocated to America accompanying his friend and distinguished poet Iftikhar Nasim. He had long-standing heart disease and underwent a bypass operation. He passed away in Chicago on 3rd November 2001. Some notable books authored by him include ‘Tarkash’, ‘Mukalima’, ‘Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai’, ‘Fasle Aise Bhi Honge’, and ‘Bahut Nazdik Aate Jaa Rahe Ho’.
Source: Rekhta
If you like our podcast please share it with your friends. Leave a review. Feedback is always welcome and much appreciated.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
https://www.buymeacoffee.com/abdulsiddiqui
#urdughazal
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
Faasle Aise Bhi Honge - Adeem Hashmi
Born in Firozpur, India, on 1st August 1946, Adeem Hashmi’s actual name was Faizuddin. He was brought up in Faizabad and moved to Lahore in 1970, where his poems were regularly published in literary journals. Meanwhile, he also wrote songs for radio and TV. Later, he moved to Rawalpindi. In 2001, he relocated to America accompanying his friend and distinguished poet Iftikhar Nasim. He had long-standing heart disease and underwent a bypass operation. He passed away in Chicago on 3rd November 2001. Some notable books authored by him include ‘Tarkash’, ‘Mukalima’, ‘Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai’, ‘Fasle Aise Bhi Honge’, and ‘Bahut Nazdik Aate Jaa Rahe Ho’.
Source: Rekhta
Adeem Hashmi ka Janm ek Agast 1946 Eesvi, Firozpur Punjab mein hua aur unki wafaat panch Navambar 2001 ek mein Chicago, mein hui
Unka asli naam Faizuddin Tha, unki parvarish Faizabad mein hui aur 1970 mein Lahore mein Jaa base. Unki Shayari Adabi journals/weeklys mein chapti rahi
Mujhe unka kalaam bahut mutasir karta hai
Unki kitaabon ke naam hain
‘Tarkash’, ‘Mukalima’, ‘Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai’, ‘Fasle Aise Bhi Honge’, and
‘Bahut Nazdik Aate Jaa Rahe Ho’.
Aap ko Mere pasandida Chand Sher Sunata hoon
fāsle aise bhī hoñge ye kabhī sochā na thā
sāmne baiThā thā mere aur vo merā na thā
maah achchhā hai bahut hī na ye saal achchhā hai
phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai
ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā
maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā
jo mah o saal guzāre haiñ bichhaḌ kar ham ne
vo mah o saal agar saath guzāre hote
huā hai jo sadā us ko nasīboñ kā likhā samjhā
'adīm' apne kiye par mujh ko pachhtānā nahīñ aatā
yaad kar ke aur bhī taklīf hotī thī 'adeem'
bhuul jaane ke sivā ab koī bhī chārā na thā
vo ki ḳhushbū kī tarah phailā thā mere chār-sū
maiñ use mahsūs kar saktā thā chhū saktā na thā
parinda jānib-e-dāna hamesha uḌ ke aatā hai
parinde kī taraf uḌ kar kabhī daana nahīñ aatā
==================
Bhaut acchi ghazal share kar raho huun tawajjo chahunga
fāsle aise bhī hoñge ye kabhī sochā na thā
sāmne baiThā thā mere aur vo merā na thā
vo ki ḳhushbū kī tarah phailā thā mere chār-sū
maiñ use mahsūs kar saktā thā chhū saktā na thā
raat bhar pichhlī sī aahaT kaan meñ aatī rahī
jhāñk kar dekhā galī meñ koī bhī aayā na thā
maiñ tirī sūrat liye saare zamāne meñ phirā
saarī duniyā meñ magar koī tire jaisā na thā
aaj milne kī ḳhushī meñ sirf maiñ jaagā nahīñ
terī āñkhoñ se bhī lagtā hai ki tū soyā na thā
ye sabhī vīrāniyāñ us ke judā hone se thiiñ
aañkh dhundlā.ī huī thī shahr dhundlāyā na thā
saiñkaḌoñ tūfān lafzoñ meñ dabe the zer-e-lab
ek patthar thā ḳhamoshī kā ki jo haTtā na thā
yaad kar ke aur bhī taklīf hotī thī 'adeem'
bhuul jaane ke sivā ab koī bhī chārā na thā
maslahat ne ajnabī ham ko banāyā thā 'adeem'
varna kab ik dūsre ko ham ne pahchānā na thā
==========================
tere liye chale the ham tere liye Thahar ga.e
tū ne kahā to jī uThe tū ne kahā to mar ga.e
kaT hī ga.ī judā.ī bhī kab ye huā ki mar ga.e
tere bhī din guzar ga.e mere bhī din guzar ga.e
tū bhī kuchh aur aur hai ham bhī kuchh aur aur haiñ
jaane vo tū kidhar gayā jaane vo ham kidhar ga.e
rāhoñ meñ hī mile the ham rāheñ nasīb ban ga.iiñ
vo bhī na apne ghar gayā ham bhī na apne ghar ga.e
vaqt hī judā.ī kā itnā tavīl ho gayā
dil meñ tire visāl ke jitne the zaḳhm bhar ga.e
vo bhī ġhubār-e-ḳhvāb thā ham bhī ġhubār-e-ḳhvāb the
vo bhī kahīñ bikhar gayā ham bhī kahīñ bikhar ga.e
bārish-e-vasl vo huī saarā ġhubār dhul gayā
vo bhī nikhar nikhar gayā ham bhī nikhar nikhar ga.e
āb-e-muhīt-e-ishq kā bahr ajiib bahr hai
taire to ġharq ho ga.e Duube to paar kar ga.e==
itne qarīb ho ga.e apne raqīb ho ga.e
vo bhī 'adeem' Dar gayā ham bhī 'adeem' Dar ga.e
us ke sulūk par 'adeem' apnī hayāt o maut hai
vo jo milā to jī uThe vo na milā to mar ga.e
========================
ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā
maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā
bhāgtā huuñ har taraf aise havā ke saath saath
jis tarah sach-much mujhe us kā patā mil jā.egā
kis tarah rokoge ashkoñ ko pas-e-dīvār-e-chashm
ye to paanī hai ise to rāsta mil jā.egā
ek din to ḳhatm hogī lafz o ma.anī kī talāsh
ek din to mujh ko merā mudda.ā mil jā.egā
jā rahā huuñ is yaqīñ se us ke chhoḌe ghar kī samt
jaise vo bāhar galī meñ jhāñktā mil jā.egā
tez hotī jā rahī haiñ dhaḌkaneñ aise 'adeem'
jaise agle moḌ par vo be-vafā mil jā.egā
============================
āñkhoñ meñ āñsuoñ ko ubharne nahīñ diyā
miTTī meñ motiyoñ ko bikharne nahīñ diyā
jis raah par paḌe the tire paañv ke nishāñ
us raah se kisī ko guzarne nahīñ diyā
chāhā to chāhatoñ kī hadoñ se guzar ga.e
nashsha mohabbatoñ kā utarne nahīñ diyā
har baar hai nayā tire milne kā zā.iqa
aisā samar kisī bhī shajar ne nahīñ diyā
ye hijr hai to is kā faqat vasl hai ilaaj
ham ne ye zaḳhm-e-vaqt ko bharne nahīñ diyā
itne baḌe jahān meñ jā.egā tū kahāñ
is ik ḳhayāl ne mujhe marne nahīñ diyā
sāhil dikhā.ī de to rahā thā bahut qarīb
kashtī ko rāsta hī bhañvar ne nahīñ diyā
jitnā sakūñ milā hai tire saath raah meñ
itnā sukūn to mujhe ghar ne nahīñ diyā
is ne hañsī hañsī meñ mohabbat kī baat kī
maiñ ne 'adeem' us ko mukarne nahīñ diyā