.jpg)
Main Shayar Toh Nahin
Main Shayar Toh Nahin
Jaan Nisar Akhtar
Jaan Nisar Akhtar was born in 1914 in Gwalior and left for heavenly abode on August 18th, 1976 in Mumbai, India. He left an indelible mark on Urdu Adab as a romantic and revolutionary poet. Jaan Nisar Akhtar’s repertoire contained Ghazal, Nazm, Qita, Rubai & Film songs. He was part of the progressive writers movement. His father Mushtar Khairabadi was a famous Urdu poet & his children Javed Akhtar and Salman Akhtar are also popular poets. Akhtar completed M.A.(Urdu) from Aligarh Muslim University. He is a recipient of Sahitya Akademi award. Akhtar wrote in simple language with extensive use of Hindi words.
If you like our podcast please share it with your friends. Leave a review. Feedback is always welcome and much appreciated.
Abdul Raoof Siddiqui
email: raoof3@yahoo.com
Instagram @urdu.ghazal
Visit our website: www.mstn.in
https://www.buymeacoffee.com/abdulsiddiqui
#urdughazal #urdupoetry #jaannisarakhtar
Thanks for listening! Follow us on instagram @urdu.ghazal and visit our website www.mstn.in
Jaan Nisaar Akhtar ne apni ek khaas chaap chodi hai Urdu Adab par. Progressive writer association ka hissa rahe. Unke Valid Mushtar Khairabaadi bahut bade sha.er thay aur unke bete Javed Akhtar sahab ek behtareen sha.er hain (aap ep. 37 sun sakte hain jo Javed Akhtar sahab par hai) unke aur ek bete, Salman Akhtar bhi ek mashoor academician aur sahib-e-dewaan sha.er hain.
Jaan Nisar Akhtar Sahab ki yogyta ka kya kehna, unhone Ghazal, Nazm, Qata, Rubai aur filmi geet likhe hain, jinhe bahut pasand kiya gaya. Ek baar Javed Akhtar sahab ne ek interview mein batlaaya tha, unke waalid Jaan Nisaar Akhktar ne, unse kaha tha, ke asaan bhasha mein likhna bahut mushkil hota hai aur Jaan Nisaar Sahab Badi Saral si bhasha mein taa-umr likhte rahe.
Unke likhe hue, kai filmi geet, super hit hain, magar waqt ki pabandi ki wajay se chand geeton ke naam bataa raha huun, Jo Mere all time favorite geeton mein se hain…
- Ai Dil e nadaan, aarzoo kya hai, justaju kya hai - Film Raziya Sultan
-Hum intezaar karenge tera qayamat tak, Khuda karay ke qayamat ho, aur tu aaye - Film - Bahu Begum
-Ye Dil aur unki, Nigaahon ke saaye - Film- Prem Parbat
Chand sheron se shuru kar raha hun, meri taraf mutwajjay jo jayen…
yuuñ to ehsān hasīnoñ ke, uThā.e haiñ bahut
pyaar lekin jo kiyā hai, to tumhīñ se, ham ne
ash.ār mire yuuñ to, zamāne ke liye haiñ
kuchh sher faqat un ko, sunāne ke liye haiñ
ye ilm kā saudā, ye risāle, ye kitābeñ
ik shaḳhs kī yādoñ ko, bhulāne ke liye haiñ
tum bhī is dil ko dukhā lo, to koī baat nahīñ
apnā dil, aap dukhāyā hai, bahut din ham ne
hudūd-e-zāt se bāhar nikal ke dekh zarā
na koī ġhair, na koī raqīb, lagtā hai
================
aahaT sī koī aa.e, to lagtā hai, ki tum ho
saaya koī lahrā.e, to lagtā hai, ki tum ho
jab shāḳh koī, haath lagāte hī, chaman meñ
sharmā.e, lachak jaa.e, to lagtā hai, ki tum ho
sandal se, mahaktī huī, pur-kaif havā kā
jhoñkā, koī Takrā.e, to lagtā hai, ki tum ho
oḌhe hue, tāroñ kī, chamaktī, huī chādar
naddī koī, bal khaa.e, to lagtā hai, ki tum ho
jab raat ga.e, koī kiran, mere barābar
chup-chāp sī, so jaa.e, to lagtā hai, ki tum ho
=======================
Log kahte haiñ, ki tū ab bhī ḳhafā hai, mujh se
terī āñkhoñ ne, to kuchh aur kahā hai, mujh se
haa.e, us vaqt ko kosūñ, ki duā duuñ yaaro
jis ne har dard mirā, chhīn liyā hai, mujh se
dil kā ye haal ki, dhaḌke hī, chalā jaatā hai
aisā lagtā hai, koī jurm huā hai, mujh se
kho gayā, aaj kahāñ, rizq kā dene vaalā
koī roTī, jo khaḌā ,maañg rahā hai, mujh se
ab mire, qatl kī tadbīr, to karnī hogī
kaun sā raaz hai terā, jo chhupā hai, mujh se============
tū is qadar mujhe, apne qarīb, lagtā hai
tujhe alag se, jo sochūñ, ajiib lagtā hai
jise na husn se matlab, na ishq se sarokār
vo shaḳhs mujh ko, bahut bad-nasīb, lagtā hai
hudūd-e-zāt se bāhar nikal ke dekh zarā
na koī ġhair, na koī raqīb, lagtā hai
ye dostī, ye marāsim, ye chāhateñ, ye ḳhulūs
kabhī kabhī, mujhe sab kuchh, ajiib lagtā hai
Ek Nazm sunane ja raha hun jiska unwaan hai “KHamoshaawaz”
Jaan Nisaar Akhtar sahab ki shareek-e-hayaat Safia Sirajul Haq ki pehli barsi par Janvari ki ek sard raat ko likhi thii
Safia Sahiba mashoor sha.er Asrar-ul-Haq Majaaz ki bahen thi