Har Din MahaShivPuran
Har Din MahaShivPuran is a Hindi devotional podcast rooted in Shivji's leela and the timeless wisdom of the Maha Shiv Puran. Spoken from the heart, it is a conversational, non-academic journey into one of Hinduism's most profound and ancient texts.
Each episode offers seekers a few quiet minutes of katha, leela, insight, and samarpan — drawing from the sacred chapters of the Shiv Puran, with reflections anchored in Guruji's Anant Kripa. Shukrana Guruji.
Season 1 traces Mahatmaya, Vidyeshwar Samhita, Srishti Khand and Sati Khand in full — from the Vidyeshwar Samhita and the glory of the Shivlinga, through the story of Sati and Daksha's yagya, the appearance of Virabhadra, and the deeper teachings of Shiv Tattva. A Hindi Shiv Puran podcast for seekers of Mahadev, Hindu spirituality, Sanatan Dharma, and katha-based learning.
Season 2 begins later in 2026
हर दिन महाशिवपुराण एक हिंदी आध्यात्मिक पॉडकास्ट है — शिव पुराण की कथाओं और शिवजी की लीलाओं पर आधारित। हर सोमवार एक नई कथा, एक नया समर्पण।
✨ Best experienced as a companion to our book, A Modern Seeker's MahaShivPuran, available at www.mahashivpuran.com
Free chapters and a detailed glossary are also available online to help understand both the literal and symbolic meanings of Puranic terms.
Har Din Maha ShivPuran Guruji aur Shivji ko samarpit hone ki sundar yatra hai.
An offering of presence, for modern seekers walking an ancient path.
🌸 Created by Ardaas Publishing | www.ardaas.life
🎙️Narrated by Chanda, Translator of A Modern Seeker's MahaShivPuran and Founder of Ardaas Life.
Episodes
37 episodes
Trailer — Har Din MahaShivPuran
🕉 Sangatji, hazaaron saal pehle likha hua yeh prachin granth hum sab ki kahaani hai — hamare aaj ke jeevan ke baare mein.Guruji ki kripa se shuru hua yeh podcast Puran ki line-by-line reading nahi hai. Har episode do bhagon m...
Ep 36 | Sati Khand ka Saar | End of Season 1 | Rudra Samhita, Sati Khand
Sati Khand ka safar aaj yahan viraam leta hai — par yeh ant nahi, ek naya prarambh hai.Is episode mein hum samjhenge ki Shiv Tattva kya hai, Dukh Sansparsh Shunya ka sachcha arth kya hai, aur kyun kewal Guru kripa se hi M...
Ep 35 | Sati Khand ka Antim Adhyay — Daksh ka Uddhaar aur Shiv Kripa | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 94-95)
Ek ant jo vastav mein ek naye jeevan aur Ma Parvati ke aagaman ka prarambh hai.Sangatji, aaj Sati Khand ki katha ek bhavuk poornata par pahunchti hai. Dekhiye kaise Mahadev ne na sirf Daksh ko naya jeevan diya, balki hume...
Ep 34 | Devtaon ki Kailash Yatra: Karm Bandhan se Shiv Kripa tak | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 92-93)
Daksha ke yagya ki raakh se lekar Kailash ki sheetalta tak ka safar.Aaj ki katha mein hum dekhenge ki kaise Devta apne Karm Bandhan — us kartavya aur ahankar ke jaal se nikalne ki koshish karte hain jisne unhe dukh aur bh...
Ep 33 | Dadichi: Karma, Kripa aur Shiva Tattva ka Sangam | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 90-91)
Kaun bada hai — shasak ka bal ya brahmin ka tap?Sangatji, aaj ki katha mein hum dekhenge Raja Kshuva aur Maharishi Dadhichi ke beech ka wo pracheen vivaad jisne Shakti aur gyan ki seemaon ko parakh liya. Is adhyay mein aa...
Ep 32 | Virabhadra ka Prahaar aur Ahankaar ka Sarvnaash | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 83-89)
Jab Mata Sati ne yog-agni mein apni deh ka tyag kiya, tab prakriti khud nyay lene utthi. Aakashvani goonji, Virabhadra prakat hue, aur Daksh ke ahankar-yukt yagya ka sarvnaash hua.Is episode mein suniye kaise Bhagwan Vish...
Ep 31 | Sati ka Deh Tyag - Jahan Ahankaar, Wahan Shiv-Shakti Nahi | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 80-82)
Daksh ke yagya mein sab kuch tha — vidhi-vidhan, dev, rishi, samriddhi. Par kendra mein Shiv nahi the, ahankar tha.Jab Sati ne yeh satya dekha, toh ek aisa nirnay liya jo teen lokon ko hila diya. Aaj ki katha gehri hai, b...
Ep 30 | Daksh ka Ahankaar aur Vinaashkari Yagya ka Aayojan | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 78 & 79)
Jab anushthan sahi ho, par hriday sunna band kar de — yagya bhi ayagya ban jaata hai.Aaj hum milte hain Daksh ke ahankar se — jo yagya aur maryada ke naam par Shiv ko hi bahishkrit kar deta hai. Nandi aur Dadhichi ki chet...
Ep 29 | Sanshay, Maya aur Maryada ka Ullanghan | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 76 & 77)
Jab sanshay hriday mein pravesh karta hai, tab prem aur maryada dono kaanpne lagte hain.Dandakaranya van mein Shiv, Ram ko pranaam karte hain — par Sati sanshay mein pad jaati hain. Maya mein phas kar ve Ram ki pariksha leti hain,...
Ep 28 | Shiv–Sati Ki Prem Leelaen : Poornata, Shanti Aur Bhakti Ka Marg | Rudra Samhita, Sati Khand (73 - 75)
Prem abhav se nahi, poornata se apne satya ki taraf badhta hai.Is episode mein hum Shiv-Sati ke prem ko uski mool drishti se samjh rahe hain. Brahmaji ke ek vakya se shuru hoti yeh katha humein bhakti ke us marg tak le ja...
Ep 27 | Shiv-Sati ka Vivah & Brahma ka Moh | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 70-72)
Shiv aur Sati ka divya vivah… aur beech mein Brahma ka ek aisa moh jo srishti ke rachayita ko bhi chhoo jaata hai.Sangatji, aaj ke episode mein hum sunenge Shiv aur Sati ke vivah ki adbhut katha aur Shiv ki anokhi baraat ...
Ep 26 | Devi Sati ki Tapasya aur Shivji ka Vardaan | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 67-69)
Jab Sati ki tapasya poornata par pahunchi, to poora brahmand sugandhit ho gaya — aur Brahma-Vishnu bina nimantran ke swayam aa gaye. Yahi hai sachche parivartan ki Shakti.Is episode mein hum Sati ke Nanda Vrat ko samjheng...
Ep 25 | Daksh ki Tapasya aur Devi Sati ka Janm | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 64-66)
Tapasya ki shuddhata se shuru hui yatra, dheere-dheere ahankar ki janjirein kaise rachti hai?Daksh ki gehan tapasya… Devi ka vardaan… aur phir Ma Sati ka divya avirbhav. Is episode mein hum dekhte hain kaise Brahma, Narad...
Ep 24 | Karm se Kripa ki Yatra — Brahma-Vishnu Samvad aur Ma Jagdamba ka Sankalp | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 62-63)
Jab har prayas vyarth ho jaaye, tab kya bacha rehta hai? Samarpan.Sangatji, jab Kamdev ka har baan Mahayogi Shiv ke dhyan ko hila na saka, tab Brahmaji ki yojnayen aur unka ahankar, poori tarah se toot gaya. Isi samarpan ...
Ep 23 | Shiv ki Samadhi aur Kamdev ki Haar | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 60-61)
Jab hawa mein koyal ka geet ghulta hai aur ghatiyon par vasant ka rang bikharta hai, tab bhi Kailash par baitha yogi achal kaise rehta hai?Brahmaji ek saral prashn se gehri khoj shuru karte hain: Kamdev, Rati, aur Vasant ...
Ep 22 | Sandhya ki Katha — The Divine Pause aur Maryada | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 57-59)
Saundarya janm leta hai, aur turant icchha jaag jaati hai — lekin usi kshan Shiv ki maryada bhi utpann hoti hai.Sandhya ki Katha, Sati Khand ki ek mahatvapurn aur rahasyamayi katha hai. Yeh episode Sandhya ki tapasya ka g...
Ep 21 | Icchha se Prem tak — Kamdev ki Katha | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapters 54-56)
Icchha kya hai — paap, ya srishti ka nimantran?Brahmaji Kamdev ki katha sunate hain — kaise icchha Mahapralay ke shoonya se janm leti hai, aur kaise Shiv ki leela usse prem mein badal deti hai.Yeh katha batati hai ...
Ep 20 | Sati Khand ka Aarambh — Sati Janm se Daksha Yagya tak | Rudra Samhita, Sati Khand (Chapter 51)
Sati ka divya janm, Shiv se milan, Daksha ka ahankar, yog-agni, aur Parvati ke roop mein Shakti ka punar-aagaman — ek mahakavya ki tarah khulta hai Sati Khand.Sangatji, aaj ke is episode mein hum Rudra Samhita ke Sati Khand ka prarambh k...
Ep 19 | Andhakaar se Prakaash Tak — Srishti Khand ka Saar
Mahapralay ke shoonya se shuru hoti hai nayi srishti.Shiv aur Shakti ke manthan mein, hum apni hi yatra dekhte hain — bhay se vishwas tak, samay se samarpan tak, maya aur ahankar se Guru aur kripa tak.Sangatji, yeh katha ...
Ep 18 | Srishti-Rachna, Gunanidhi aur Kuber ki Katha Yatra | Rudra Samhita, Srishti Khand (Chapters 47-52)
“Shiv kaise hain? Unka aacharan kya hai? Unki kripa humare jeevan ko kaise badal deti hai?”Sangatji, is vishesh episode mein Naradji ek gehra prashn poochte hain. Brahmaji ke saath hum chalte hain srishti ke rahasya se le...
Ep 17 | Shiv Aradhana, Bhakti aur Phal | Rudra Samhita, Srishti Khand (Chapters 42-46)
Pooja kyun karein? Naradji jaisa mahaan bhakt bhi yeh prashn karta hai.Sangatji, yeh adhyay Shiv Tattva ko humare jeevan mein utaarne ka jeevant marg hai. Naradji ka prashn humein yaad dilata hai: prem ko abhivyakti chahi...
Ep 16 | MahaPralay Se Shiv Tattva Tak | Rudra Samhita, Srishti Khand (Chapters 38-41)
Shoonya se ubhar kar — tapasya, prashn, vivaad, aur samarpan ke raaste — Vishnu aur Brahma ko mila Shiv Tattva ka darshan.In adhyayon mein hum milte hain srishti ke akhand rahasya se — Sadashiv jo apni Shakti ke saath prakat hote hain.
Ep 15 | Rudra Samhita ka Aarambh — Naradji aur Ahankaar ki Kahani | Rudra Samhita, Srishti Khand (Chapters 33-37)
Tapasya, ahankar, apmaan, aur samarpan — Naradji ki katha humein apna hi aaina dikhati hai.Rudra Samhita ka aarambh hota hai Naradji ki kahani se. Yeh katha humein dikhati hai ki Shiv aur Vishnu ki kripa se kaise ahankar pighal kar bhakt...
Ep 14 | Samarpan: The Great Surrender — Vidyeshwar Samhita ka Rahasya
Asli samarpan kya hai — aur kyun hai yeh har sadhak ka sabse bada rahasya?Sangatji, yeh katha samarpan ke raaz ko kholti hai: kya hai asli samarpan, kyun karein, aur kaise karein. Vidyeshwar Samhita ke adhyayon mein Sutji batate hain ki ...
Ep 13 | Naivedya, Bilva, Bhasma aur Rudraksha — Vidyeshwar Samhita ka Antim Sandesh | Vidyeshwar Samhita (Chapters 29-32)
Bhakti ka saar kya hai — kathin tapasya, ya saral samarpan?Vidyeshwar Samhita ke antim adhyayon (29-32) mein Sutji humein Shivji ke anmol uphaar dete hain — Naivedya, Bilva, Naam Jaap, Bhasma aur Rudraksha. Yeh saathi hum...